Tuesday, December 05, 2006

yunhi

aaj jab hum yunhi ghar ki
chaukhat par baithe so rahe thhey
daftar najaakar dhoop mein sustane
ke sapno mein kho rahe thhey

achanak dimmag par chhaya
waqt ka kaala saaya,
ehsaas hua ki adhaa ghanta
ho gaya intezaar karte
ab tak hamari
gaadi waala kyun nahi aaya

hadbada kar apne sehkarmi
ko hamne kiya phone
toh pata chala ki
hum toh sapne hi dekhte reh gaye,
aur hamara wahan-chalak
kal hi gaya tha chhutti ka bol

khayal aaya ki hum bhi
mauke ka fayda uttha lein
sahab ko phone kar
bimari ka bahan bana dein

par yeh kambakht tankhwa
jo ab tak nahi aayi
loan ki kisht ke haathon mazboor,
rickshey ko awaaz lagayi,
"10 rupaiye mein chalte ho kya bhai"!

ab dafter mein baithe
kismat ko rote hain
humse bhale toh kam
padhe likhe driver babu
kam-s-kam ghar pe araam se chadar
taan ke sote hain